Aaj kal kisi k majburiyo ka kaise fayda utha liya jaye log isi taak me baithe rehte hai,
Kyu
k jab insan majbur hota hai ya had se jada pareshan hota hai toh uski madat
karne wala uske liye humesha bhagwan hota hai,
lekin
Jin mushkilo se ya pareshaniyo k wajah se kisi ki baate bina soche samjhe insan
maan jata hai wo bhul jata hai k aage ka raasta fir uske liye kitna kathin ho
jayega,
majburiya
pareshaniya insan ko sahi galat kuch bhi sochne nahi deti hai,
insan
agar akela ho toh wo kuch bhi kar sakta hai use bas us taklif se niklna hota
hai jo wo mansik rup se jhel raha hota hai,
kai
baar apne bhi nahi samjhte jab aapko aapki taklife toh insan or nirash ho jata
hai kyu k kisi ko bhi sab se jada umide toh apno se hi hoti hai,
fir
wo kuch aisa kadam utha leta hai jiske liye use puri zindagi pachtawa hota hai
lekin koi ye nahi samjh pata hai k jis mansik rup se koi inasan gujar raha hai wo
kaisi rahi hogi,
lekin sab se jada humare insaniyat pe afsos karna chahiye kyu k aaj k jamane me bina lalach k bina kisi jarurat koi madat nahi karta hai,
aise
bas 100 me se 1 ya 2 hi log milenge aapko, apne haantho ki katputali banana
chahte hai bas log,
thik
isi tarah aaj kal covid 19 k naam pe companies apne majbur employees ka fayda
utha rahi hai,
logo
ko pta hai galat ho raha hai sab lekin wo majbur hone k karan kaam kiye ja rahe
hai kyu k ek majbur insan k upar jab jimmewariya hoti hai na wo sab kuch karta
hai,
lekin
hum ye bhul jate hai hum majbur hai kamjor nahi bhagwan sab dekhta hai bas
insan ko apne hausle or khud ko majbut rakhna padta hai,
ek
Rasta band ho jata hai toh dura rasta bhi hota hai magar wo rasta piche ka nahi
aage badhane ka hota hai,
gir
gir k or thokare kha kar khud majbut bna leta hai insan, majburiya hai toh kya
hua ek din us insan ka bhi aayega,
Fir
tu usse kaise nazare milayega, Insan ka hi dushman insan hota hai islye toh
khud ka malik insan khud hota hai galat kadam uthane se pehle khud k andar k
takat ko jhak lena insan tujhme bhi bhagwan viraj maan hota hai,
Bas
ek baar dil se pukar lena tu bhi insan himmat kar k ladna kyu k akeli chiti bhi
haanthi ko gira sakti hai.
Note:
1. Kabhi agar aapke family me koi udas hai ya sab se alag rehta hai toh ek baar uska dost ban k uski baat sun lena shayad wo kisi baat se jada hi be wajah pareshan ho.
2. Kisi k musibat ka kabhi fayada uthane ki, kabhi mat sochna yaad rakhna aaj tumhare wajah se agar koi musibat me pada inasan or pareshan hota hai toh upar wala sab dekh raha hota hai aaj tumne toh fayada utha liya lekin kal tumhe hi upar wale ko jawab dena hoga.
3. Kabhi kisi ko kamjor na
samjhana agar koi apne halat k wajah se jhuka hai toh use jarur samjhana or motivate
karna.
4. Kabhi khud ko itna bhi
majbur na karna k khud se hi nazare mila na pao or jo log ungli tumpe uthaye
uhe jawab na de pao.
5. Majburiya sab ki zindaki
me hoti hai bas halat alag alag hote hai agar koi dost ya family members unse
gujar raha ho toh maddat bas itni karna k use hara hua kabhi mehsus na karne
dena uske hausale kabhi kamjor na padne dena use bas ek baat jarur batana ladai
zindaki khud se hi ldna hota hai bas hum use akela nahi hone dete.
6. Agar koi galti majburiyo
se hoti hai zindagi me toh uska dosh na khud ko den ana hi apni kismat ko kyu
wo halat or galtiya isliye hui hai k aap logo ka asali chehra peh chan sako or
aage apni life me waise halat me lad sako ge.
3
7. Agar kisi ne aapko dhokha
diya hai toh us dokhe k liye ro lena pehle lekin uske liye apni zindagi khatam
mat karlena kyu k ye kimti hai tumhare liye use kisi or ko koi farak nahi
padega.
8. Life is lesson everyone is
learning daily a one chapter of the book of life and writing it again and again
with new experiences and more positive way and one day you are the mentor for
some one who are facing same problems in his or her life.
Comments
Post a Comment