Skip to main content

Dil ki taklife bata karo

Tukda tukda ho kar bhi khud joda karte the roz,

Dil ki taklife bata karo 

akele hi khud tute tukde samet te guzar jayega yehi sochte the roz,

kitno pe kitna bharosa kiya aankh band kar k magar sabhi bharose tut te the roz, 

Magar bewajah hum bhi baki rishto ko taklife diya karte the roz,

Bhala kab tak bardasht karenge hume roz roz log,

Apno ko hi taklife Jada dene lga hu mai roz,

mafi bhi kya mangu mai ab sab se ab lagane lga hai be wajah hi ji raha hu mai roz,

Kya karu mai bhi roz kitna tnha rehta hu mai roz,

khud k baato se hi taklife toh deta hi hu lekin rulata hu mai apno ko roz roz, 

Ruth jo sab gye mujhse ek roz mai yuhi tanha reh jaunga us roz, 

akela pan kya hota hai soch k dil ghabrata hai jo hogya toh kahi fana hi na hojau us roz,

Tute hum bhi tuta dil bhi darta hai ab khud k hi baato se,

Baate dil ki khul k kiya karo warna ghut k rehh jayenge hum roz roz...!!!!


Comments

Popular posts from this blog

Tute huye dor ka ab resha resha jodta hu

Tute huye dor ka ab resha resha jodta hu, Khud ki kiye huye galtiyo pe dusro ko humesha bolta hu, Tute huye dor ka ab resha resha jodta hu, Nadaniya khud kar k bhi Manta nahi tha mai isliye aaj itna tanha rehta hu, Tute huye dor ka ab resha resha jodta hu, Mafiya bhi mangu bhi kin kin galtiyo ki jab aksar mai hi galtiya karta hu, Tute huye dor ka ab resha resha jodta hu, Tanhayon se baate karta hu sab k saath hoke bhi akela rehta hu, Tute huye dor ka ab resha resha jodta hu, Rishto ki kimat unke na hone pe hi samjh aati hai jab Jude rehte hai tab toh bure lagte hai jab Tut jate hai toh dur hone se bure lagte hai, Tute huye dor ka ab resha resha jodta hu, Tute huye dor ka ab resha resha jodta hu, Dor toh wapas utni majbut na hogi ab janab magar isi aas me mai ab apni saase jodta hu, Tute huye dor ka ab resha resha jodta hu......!!!   ek shayar tera bhi,,!

life k kuch aise pal jinhe bhulna mumkin nahi shadi

Ji ha chaliye hum aaj kal k shadiyo k liye kuch likhte hai   Shadi kya hai bas do logo ko ek bandhan me bandhna, Shadi kya hai pariwar ko aage badhane ki siddhi hai, Koi ye kabhi kyu nahi sochta jo log us rishte me ek dusre ka haanth pakadte hai kya wo log khush hai Waise aaj kal toh log shadi tabhi karte hai jab aapas me ek dusre ko samjh lete hai, Kar wida apne ghar ko wo chali jaati hai dusre ghar me, Ladki ka haanth tham ke apne ghar lata hai wo badi zimewariyo se, Shadi ka bandhan hai ye jise nibhana hota hai badi aan baan shan se, Koi nai duniya me khud ko dhalne me lga rehta hai toh koi apni aadat to ko badalne me lga rehta hai, Rishte ki ye door bohot majbut bhi hoti hai or bohot kamjor bhi ise todna jitna mushkil hota hai utna hi aasan bhi hota hai, Bas apne jiwan saathi k saath aap kis tarah ka wehwar karte hai uspe nirbhar karta hai, Zindagi jine k liye jina aana chahiye kabhi ruthna toh kabhi manana aana chahiye, Haan shadi hone k baad jab do log e

TUJHE AKSAR JAB YAAD KARTA HU

Mai ghar k kisi kone me jakar baitha hua tha akela,  meri khali suni baahe bas tere garam aihsas ko yaad karti rehti hai,  teri aadat mujhe itni hai kisi nashe ki bhi jarurat nahi hoti mujhe,  tere pyar ka hi ye dil bas bhuka hai,  khoya rahu sab khuch bhul k tere aankho me fir kya koi taklif or dard hai mere jine me,  love you you mera bacha bas yuhi mujh me samaye rehna,  mere saaso me or mere dhadkan me yuhi dhadkte rehna,  mera haanth zindagi bhar bas yuhi thame reh na,  jo kabhi socha bhi dur jaane ka tumne mujhse toh soch lena,  bina dil k koi ji nahi sakta.....!!!  ️