kuch sapne mere bhi hai jo adhure hai,
socha hai maine bhi ek jivan saathi aisa ho jo mere dosto se bhi jada karib ho,
ek mera bhi pyara sa parivar ho,
biwi se ladna or jhagadna bhi ho or utna hi usse pyar mohabat ki baate ho,
jab bhi udas ho mera mann bas uska haanth mere hanth me ho,
jo kabhi mere jivan sathi ko mere se kuch bhi kehna ho wo keh sake,
wo bhi mujhse ladke bole sunte ho ji aap mujhse ab pyar nahi karte hai,
or mera bhi usse haste huye yahi jawab aaye haan meri jaan aaj kal bahar wali se mera mann bahut lga rehta hai
or uska aake mujhse fir jhagadna, mera fir se use pyar se manana are pagal mai toh tumhara hi hu fir kyu tum aisa sochti ho,
mana pagalu mai kabhi kabhi aapse thik se baat nahi karta magar ye toh nahi k mai aap se pyar nahi karta,
kabhi wo wajah pyar se puch k dekho shayad koi dard sine me daba ho,
han mai manta hu kuch tumhe bhi taklife hoti hai kyu k dil k mai itna karib hu uske liye mujhe maaf karna meri jaan tum hi ho bas ye yaad rakhna,
mai khud kabhi akela mehsus nahi karta ab iski wajah tum ho ye yaad rakhna,
mera bhi ek ghar ho jise tum apne haantho se ghar bnao,
kyu k ghar bhi tabhi ghar hota hai jab use ghar bnaya jaye jo sirf tum bna sakti ho,
kuch sapne tumhare bhi mere ho chuke hai ab ye bhool na jana,
pta hai mujhe meri kuch aadat kharab hai lekin plz mera bacha tum mujhe sudhar dena thak haar k mujhse rooth na jana,
haan kabhi kabhi mujhe tumhe satane me maja aata hai,
jo kabhi kabhi mere liye hi saja ban jata hai kyu k mere majak se tumhare aankho me aasu aa jate hai jiske liye mujhe plz jaan mujhe maaf karna,
haan tumhara bhi hak hai mere se gussa hone ka mera bhi farz hai kaan pakad k tumse sorry bolne ka,
bas ek baat hai tum meri jaan ho meri jahan ho kyu k mai tumhare bina adhura hu mera bacha,
tumse jitna ladta huna mai usse jada pyar bhi karta hu haan tumhara naraz hona toh banta hai hak hai magar kabhi khud ko akela na samjhna,
jo tumne khud ko kabhi akela smjha na toh samajh lena pagalu tumhara ye pagal zinda hi mar jayega,
💞
haan mera ek sapna hai jo tumhare bina adhura hai kyu k mera har sapna tumse hi shuru hota hai meri har khushi me tum raho yahi dil hamesha kehta hai,
kehte hai na adhura jiwan hai aapka jab tak use pura karne wala apke jivan me na ho mujhe bas tum hi pura karti ho,
haan mai ye sab ko pure hak se bol sakta hu mujhe har baar tum hi chiye chahe jitne janam ho mujhe har baar tumse hi pyar ho,
haan kuch sapne mere bhi hai jo tumse hai.....!!!!
Very nice 😘😘😘😘
ReplyDelete