Kabhi udas karta hu tumhe,
Kabhi naraz karta hu tumhe,
Kabhi rulata bhi hu tumhe,
Kabhi hasata bhi hu tumhe,
Kyu k tumse mai itna pyar karta hu,
Kabhi khud mai itna udas rehta hu,
Kabhi khud se bhi mai naraz rehta hu,
Magar ek baat tumhe batla deta hu,
Fikra bhi mai tumhari subha sham karta hu,
Mana k mai galtiya karta hu lekin yahi bharosa tumpe harbar karta hu jo mai nahi dekh pata wo tum mujhe dikhla dogi,
Mana mai bhi kabhi galat hota hu uske liye mai bhi rota hu,
maafi mangne se bhi fir piche nahi hota hu,
Jiwan ki har mod pe tumhare saath rehna chahta hu mai.
Mai tumhare har muskan ki wajah banna chahta hu,
Jo taklif diya maine tumhe toh saja bhi de dena mujhe,
Magar ek baat mai kehna chahta hu tumhe mera haanth na chchodna kabhi chahe jo saja dena ho mujhe.....!!! Meri zindagi mera pyar meri jaan ho tum mera bacha ho..!!!!
Comments
Post a Comment